(what is no no fap?)
Fap English mein mushtzani ko kehtay hain. Ye ek slang word hai.
No fap ka idea yeah hai keh jo log porn aur mushtzani se addicted hain, woh agr kuch dair kay liye isko chorain gai, to unki addiction toot jai gi. Yani sastay aur asaan mazay lainay ki wajayse insaan ke dimakh mein ek rasta ban jata hai. us rastay ko bhulana nofap ka buniyadi maqsad hai.
Ye ek khulasa hai.
(why do you fail in your no Fap journey)
Porn aur mushtzani chornay se jo dimaghi halaat paida hotay hain jaisay keh mayoosi aur beskooni, uski samjh na honay ki wajayse aap kuch hi din mein mayoos ho ker apna no fap ka irada tor daitay hain.
Ab mein apko is dimaghi kehfiyat aur iskay peechay chupi hui na umeedi ka mechanism samjhata hun.(shot of mechanical stuff)
(where does hopelessness come from?)(nofap mein na umeedi kahan se ati hai)
Porn aur mushtzani insaan keh dimakh mein ek rasta banata hai. Woh rasta aap ko sakoon daita hai dopamine release ker kay. Dopamine itni large amount mein release hoti hai keh aap ka dimakh hyper stimulate ker jata hai. Scientists iski dopamine release ko, heroine ki dopamine release kay barabar samjhtay hain. Ye ek unnatural amount mein release hoti hai.
Asaan lafzon mein bataon to ager aap din mein 1 kilo cheeni pani mein mila ker pee jain gai to Khuda ki di hui naimatain jaisay khajoorain, saib, aam, kailay apko meethay nahi lagain gai.
Usi tarikay se porn dekhnay walay log jis speed mein ek video se dusri video per jatay hain, unkay dimakh ko woh computer screen nahi nazar arahi hoti, balkay har click mein unka dimakh ye register ker raha hota hai keh woh ek fark larki kay saath sexual intercourse mein mulawis hain. Ek mushtzani kay session mein dimakh bohat saray sexual partners ko register ker laita hai. ye process itni bari amount mein dopamine release kerta hai keh asal insaan kay saath jub sexual intercourse ka time ata hai, to dimakh sexually turn on hi nahi hota. Isko kehtay hai P.I.E.D
Porn induced erectile disfuntion aisi khefiyat ko kehtay hain jis mein porn dekh dekh ker ek mard ka sub se zaroori sexual organ khara hona band ker jata hai
Jub aap no fap ki journey shuru kertay hain, to dimakh mein dopamine na ho nay ki wajay se insaan ko har cheez mein mayoosi nazar ati hai. aur pehle kuch din to theek guzartay hain, phir zinda rehna bhee dardnaak lagta hai. insaan logon se jharpta hai. insaani dimakh ko ye dohka hota hai keh, yehi kehfiyat ab puri zindagi rahay gi aur agr woh bus ek dafa ek video he dekh lai to uski ye dard khatam ho jai gi.
Problem yahan ati hai keh woh agr galati se ek bhee video dekh le to jis rastay ko uska dimakh bhoolnay ki kosh ker raha hota hai, who rasta dimakh mein phir se khul jata hai.
(no fap kay doraan jub mayoosi ho to kya sochain?)how to handle its withdrawal
NoFAP shuru kernay kay baad jub mayoosi shuru ho to apko yeah Ye samjhna parhay ga keh jaisay zakham per jub pati ki jai to arzi tor per dard hoti hai, usi tarikay se dimakh arzi tor per mayoos hota hai jub who repair ho raha hota hai.
Kahin log isko apni dairy mein rozana subha uth ker likhtay hai, aur kahin log isko sonay se pehle apni diary mein likhtay: is baat ko yaad rakhna keh ye waqt bhee guzar jai ga ek bara mazboot weapon hai na umeedi keh khilaaf.
Nofap kitna lamba hona chahiye?
90 days chahiye hotay dimakh ko apna purana rasta bhoolnay kay kiye. Isi liye jub log drugs chornay rehab centre jatay hai to unko bhee 90 days kay liye roka jata hai. kya ye jaldi bhee chora ja sakta hai?
Ye sub kuch is baat per depend kerta hai keh aap kitni dair se porn aur mustzani mein mulavis hai, aap kitni lambi videos dekhtay hain, haftay mein ya din mein kitni dafa masturbate kertay hain. Kahin dafa 90 dino se zayda bhee waqt lag sakta hai. bus yeh yaad rakhain keh Sabr kernay walay kay saath ALLAH (swt) hain!
Thank you for watching. Agli video mein hum kuch aisi galtiyon key upper baat karain gai, jo no fap kernay walay log aksar ker laita hain aur uski wajay se unka dimakh rewire nahi ker pata. Dimakh jub purana rasta bhool jai aur nai rastay ki taraf aai, is process ko rewire boltay hain.

- Category
- Try Not To Cum
Commenting disabled.